Jazbaat song by Jokhay from Primary Album Album not found. The music is composed and produced by Joel. Genre is Urdu, Desi Hip-Hop, Rap music. The Record company is unknown. Released on None.
video was originally posted on: Youtube
Jazbaat Meaning
[Verse 1: Nabeel Akbar Zubaan gandi par dil saaf rakhe hein shuru se Waqt ki tangi sakht halaat bus mere guru they Mein haske sab kuch sehta raha, qalam se dard ye behta raha mein pairon pe khara ab tk Teray bharosay Chun raha zameen se girey huay apny tukray 22 saal ki umar mein jese buzurg mein Mein jese banchuka hu qaidi, baalon mein agayee safaidi teri umar se ziada tabhi mere tajurbay Sharaab se ziyada nasha bhara para ragon mein Zindagi kese bayan kardun mein chand lafzon mein, meine chalna seekha ungli pakar k mout ki, bachpan se hee meri thee tanhayee se sirf dosti, tb se leke aajtk larta raha zamaanay se, Rozana mar mar k ab nhi darta mein marjaanay se, azaad hona chahta hu gunahon k peimaanay se Aye khuda mein thak chuka mjhko waapis ghar aanay de Mein ranjishon or bandishon ki zanjeeron mein phas chuka, haathon ki lakeeron ki taqdeeron se tang aachuka Kitabon ki tehreeron mein apnay zakham chupa raha, mein kia karu ye sab mere hissay mein pehle se likha Chorus: Umair Khan Tootay sab sapne mere kaanch se Roothay sab apne mere naam se Munh pe mein kehta sab kuch saamne Haan maante qasurwaar hum khud ko apne haal ke Verse 2: Umair Khan Kardu dafan mei apne khwaab kaise? Log kahain mauseeqi haraam Aur jhoot raah e haqq hai Per mein, kabhi na rukkuga yeh baatain jo hain Kardeti khokla andar se Par hai bharosa khud pe Idhar ghaday ghoray mei koi farq Nai Naukri na kare jo woh mard nai Bekhayali haath hain khali Andheri subah hai ya hai raat saali Khud hi khud mei khud ko kosoon Ya dun khud ko gaali? Aur ab wohi khaali haath leke Raat leke betha hu band kamre mei Bus jeene ki aik aas leke Toota hua dil aur marre hue jazbaat leke Larhraha mei ab tak Bus kuch aakhri saansen hain Khari meri maut bus kuch thore se faasle pe Leke pichla bojh kaise chalu aagay raaste pe Machta to hai shor par koi sunta Nai awaaz jaise Lagay mujhay roz ke yeh din mere aakhri se , Verse 3: Talha Anjum Aja baat karein zindagi ki Aaj baat karein teri meri zindagi ki Hum dono bachay thay aur chaaro taraf gandagi thi Kalashan baj rahi thi khulli charas bikk rahi thi, agay sun.. Hum young bhi thay dumb bhi thay Rehnuma thay kam, bharkanay walay kam nai thay Tere saamne hain, teer ab kamaan mein hain Hip Hop andheray mein tha jaise kisi gaar mein hai, agay sun.. 2009, rap scene, nobody 2018, Urdu Rap ka bol baala 2020, mujhay rap bore karay 2022, saaray ab rap pe gaur karein Prophecy, and though I’m not a prophet Big bills but not bigger than the profit Word play oh my days Talha, bro stop! Shoot me dead and there’s a chart I might still top Sach ke muqaablay mein wo laatay hain jhoot Everytime I write songs umeed jaati toot Ke bas ye aakhri, ke bas ab aur nai Ke mere mein ab dunya se larnay ka zor nai Par Maula Madad keh ke, hum agay barhtay rehtay Rappers tou tab bhi thay par tab bhi nai thay mere jaise Jaise taise karke laga raha chora nai Time lagaya hai bhai aise he hota chaurha nai Mora nai mein ne mu kabhi bhi is game se Kabhi nai gina Kya kuch cheena mujhse game ne Mere liye rahay ga humesha game he Urdu Rap aur Mein saath, till eternity , Chorus] |