Hai Kahan Ka Irada song by Nusrat Fateh Ali Khan from Primary Album Album not found. The music is composed and produced by Joel. Genre is Qawwali, Pop, Pakistan music. The Record company is unknown. Released on None.
The video came from: Youtube
Hai Kahan Ka Irada Meaning
[Aaj ki baat phir nahi hogi Yeh mulaakaat phir nahi hogi Aise baadal toh phir bhi aayenge Aisi barsaat phir nahi hogi Raat unko bhi yun hua mehsoos Jaise yeh raat phir nahi hogi Ik nazar mud ke dekhne waale Kya yeh khairaat phir nahi hogi Shab e gham ki sahar nahi hoti Ho bhi toh mere ghar nahi hoti Zindagi tu hi mukhtasar ho ja Shab e gham mukhtasar nahi hoti Raazdaaron se bach ke chalta hoon Ghamgusaaron se bach ke chalta hoon Mujhko dhokha diya sahaaron ne Ab sahaaron se bach ke chalta hoon Maine masoom bahaaron mein tumko dekha hai Maine purnoor sitaron mein tumhein dekha hai Mere mehboob teri pardanasheeni ki kasam Maine ashqon ki qataaron mein tumhein dekha hai Ham buton se jo pyar karte hain Naql e parwardigar karte hain Itni kasamein na khao ghabraakar Jaao ham aitbaar karte hain Ab bhi aa jaao kuch nahi bigda Ab bhi ham intezaar karte hain , Saaz e hasti baja raha hoon main Jashn e masti mana raha hoon main Kya ada hai nisaar hone ki Unse pehlu bacha raha hoon main Kitni pukhta hai meri naadaani Tujhko tujhse chchupa raha hoon main Dil dubota hoon chashme saaki mein Mai ko mai mein mila raha hoon main Na ham samjhe na tum aaye kahin se Paseena poonchiye apni jabeen se Hai kahan ka iraada tumhaara sanam Kiske dil ko adaon se behlaaoge Sach bataao ke is chaandni raat mein Kis se waada kiya hai kahan jaaoge Dekho achcha nahin hai tumhara chalan Yeh jawaani ke din aur yeh shokhiyaan Yun na aaya karo baal khole hue Warna duniya mein badnaam ho jaaoge Aaj jaao na bechain karke mujhe Jaane jaan dil dukhaana buri baat hai , Zulf rukh se hata ke baat karo Raat ko din bana ke baat karo Maikade ke chirag madham hain Zara ankhein utha ke baat karo Phool kuch chaahiyein huzoor hamein Tum zara muskura ke baat karo Yeh bhi andaz e guftagu hai koi Jab karo dil dukha ke baat karo Ham tadapte rahenge yahan raat bhar Tum to aaraam ki neend so jaaoge Pass aao to tumko lagayein gale Muskurate ho kyun door se dekh kar Yun hi guzre agar yeh jawaani ke din Ham bhi pachchtayenge tum bhi pachchtaaoge Bewafa bemurrawat hai unki nazar Yeh badal jayenge zindagi loot kar Husn waalon se dil ko lagaaya agar Aye fana dekho bemaut marr jaaoge] |