Glass Half Full song by Talha Anjum from Primary Album Open-letter. The music is composed and produced by Joel. Genre is Rap, Pakistan, Desi Hip-Hop music. The Record company is unknown. Released on February 18, 2023.
The video came from: Youtube
Glass Half Full Meaning
[[Verse 1: JJ47] Bikhrey hue pata nahi Kya kya roz chaley Tu hai nahi to phir Henny on the rocks chaley Tu gaya tou phir maza hi nahi mehfilo main 9mm, Sirf gang talk chaley Tujhe pata saath mere log buht chaley Jhootay log inkey dil’on main sirf khot chaley On my own, Zoned out Kuch pata he nahi Mujhe ghar puhnchati dua warna saath maut chaley Dil nadaan phir bhi jaam dhundta hai Kyun yeh Sooraj sey mukhatib kya yeh shaam dhundta hai Wo roz karey mehnat inaam dhundta hai Bade kaam kiye bina bada naam dhundta hai Lekin Maza hai he thakaan main Yeh lafz baney dard jesay Rehta pareshan mein Gulshan ke phool Murjhaney ko puhanchey Mein aksar bhool jaata paani daalna guldaan main Cheezien rehti nahi dehaan main Smoking too much, Dhuon bhara hai makan main Seedhi tarah bolun karta asaan mein Mein badi baatien kar he nahi pata apni shaan main Bhooley Apna aap hum Aqs dekhney ko Hamien Aainay zaruri hain Sab uljha jesi door koi Tabhi kehta hun mujhe Line’en zaruri hain Likhney betha tou sirf ghum nikla hai Rooh meri qabz kya yeh dum nikla hai Meine jab bhi mein likha, woh hum nikla hai Bana Yeh muqaddar jab qalam nikla hai Yeh karam nikla hai, Hum batatey phiren Wo sun’ney ke shoqeen, Hum gaatey phiren Ghum itney hue hum chupatey phiren Tum tortey raho, Hum nibhatey phiren , [Verse 2: Talhah Yunus] Aaj likhenge kitaab phir Qalam naraaz kehta aa gayi na yaad phir Shaayar bane teri khatir Wohi khwaab, wahi jurm, wahi kaatil Duniya se aajiz toh baadal banatay Ye taare chamakte hum lehre phelaatay Kho chuke apne, apnon ke liye gaatay Har mehfil sajaatay, par andar se aadhay Aaj bhi lagay aise jaise mere saath tu Kehte mujhe star magar mere liye tou star tu Bache na koi aarzu jab khwabon mein shumaar tu Yaaro ka yaar apne yaaron ke liye jaan dun Sabse chota sabse zyada zimmedaariyan Zamana rou padega choro ye kahaniyan Aansuon ko khud hi aankhon se chupa liya Samjhein meine khud ko pathar ka bana liya Kandhe bhaari itne rakhega koi haath kiyu Hum doobay tere peeche kia har girte ko yun haath dun Is kalaa pe hai fakhar magar duniya se naraaz hun Naa samjhe meri baat tou, kiyu lafzon ka mohtaaj hu Mein tanha is sehra mein zakham ye gehra khud bharne dein Jab loug hi munafik tou chehre se padh lete Seerhi lagate aur unko bhi chadhne dein Basti ujaagar mere sirf guzarne se Rahon se waqif tou wapis bikhrane dein Lafzo ke taajir hain sauda tou kar lete Hip Hop ki khatir hum ulfat mein mar mitay Adab be-naseeb ye Ajab sa adeeb mein Shayad Khuda ke kareeb mein Alag dikhta iss bheed mein Na raha saaya jiske liye dekhe khwab bade Lahu bahaya hai tabhi tou aaj bebaak khade Dilon ki zabaan bane Sochon ko aazad kare I don’t wanna flow, aaja zindagi ki baat karein Sabar bara qadar hoti sabko baad mein Siyahi se jala denge qalam mein itni aag hai Muntazir inn taaro ke jawaab ke Jaagu saari raat mein I drink the pain away Pray for the better days Zindagi ki jail mein I hope that I stay the same, I’m out , [Verse 3: Talha Anjum] Mere gham mere ghusse pe ab haavi rahein Aankhein jaagi rahein soche baaghi rahein Wo rahein tou nahi rahin par hum tou hum hi hain na Hum tou tere humrahi hum tere humrah hi rahe I fuck with these words ke ye khud hi kuch bol dein Ye dill ki tijori ke band raaz khuch khol dein Zehan jail bro, Isse na rihayi mili Saara shehar mera gawah, phir bhi na gawahi mili Kaghazon ko jo siyahi mili Kitne logo ko meri zaat se hausla-afzai mili Thank God Khuda bada baadshah Wo Khuda mujhe rag-rag se bhi jaanta Meri sohbaton mein baithe hi nahi jealousy (Nai) I hope my brothers live to be everything I could never be Ab mein, J or T baithay dhundein dard ki remedy The bottle’s empty and still it hurts heavily You let it go, you let it be Tou socho ab mein kya karun? (Han) Glass half full ab mein isme kya bharun? Urdu rap mera dill aur mein uski shehrag hoon Nazariye badalte hain yahan pe ladke ku baku Inko kya khabar mein unke haq mein me kitna behatar hun Ek din mein legend dusre din mein unka dushman hun Dono soorton mein lena pade mera naam Mein dono soorton mein na karun kabhi kalaam I’m on my own shit ye focus kabhi toota nai Life on the edge, I wanna go, par mein kooda nai Mere junoon ko jahil samjhe shouk kiyu Sab kaan lagayein still nobody to talk too Sabse yaadgaar raatein sabse zyada vivid (Yeah) Sabse bade ghum hi dete sabse zyada himmat (Facts) Sabse bada nahi hu ghar ka par hai bada sabar (Yeah) Sab batate meri maa ko mujhpe bada fakhar Like I already did not know (no) Kitni dekhi pareshaniyan phir karam aur nawazishein Banawati hum the hi nai, tou chutiye bhi na bane Industry meri dost nai wo chahay mujhse na mile Mere yaaro ka iss sabar silaah mile Mein kitna khush kismat Ghar aaon wapas maa mile Ye rishtey wapas na mile Jam-e-ghafeer mein jaa mile Ye bheed hamare liye thi aur ab hum iss mein shamil hain Somedays, (Somedays) I shed tears from my peers, somedays I mix whisky with sadness and pain (Yeah) I take risk jo wo kabhi bhi na lein And that’s why I’m here (That’s facts)] |
Common queries
- What is the name of the producer of the lyrics for Glass Half Full?
This lirics prodiucer by Umair.
- Who is credited with writing the music and lyrics to this song? Glass Half Full
Glass Half Full song is written by Talha Anjum, JJ47 & Talhah Yunus
- Who is the artist featured in the song Glass Half Full?
The featured artist in the Glass Half Full lyrics is JJ47 & Talhah Yunus